BARSAAT (NEW) movie - Maine Tumse Pyar Bahut Kiya текст песни

Все тексты песен BARSAAT (NEW) movie

Song By Alka Yagnik
(maine tumse pyar bahut kiya
mera tumse pyar ab nahi
tera aeitbaar bahut kiya
tera aeitbaar ab nahi ) - 2

tu hain bewafaa mujhe hain khabar
jaata hain kaha pher ke nazar
tujhko miley khushiyan teri
tanhaai hain duniya meri
tera intezaar bahut kiya
tera intezaar ab nahi

maine tumse pyar bahut kiya
mera tumse pyar ab nahi

tumse kaha tha maine
mujhse wafaye karna
tum ho meri amaanat
mujhse daga nahi karna - 3
tujhpe jaan nisaar bahut kiya
tujhpe jaan nisaar ab nahi
tera aeitbaar bahut kiya
tera aeitbaar ab nahi
maine tumse pyar bahut kiya
mera tumse pyar ab nahi

ДОБАВИТЬ ТЕКСТ В ЛИЧНЫЙ СПИСОК

Комментарии

Имя:
Сообщение: