hum na nikhat hain na gul hain jo mahektay jaain
aag ki tarah jidhar jaain dahektay jaain
jo bhi aaway hai woh nazdeek baithe hai teray
hum kahan tak teray pahloo se saraktay jaain
ghair kowaar ho ghar mein teray subhaan-allah
aur hum door khaday dar tera taktay jaain
zabt ab woh hai ke bay-wajha khafa ho ke Hasan
yaar jaaway to khirad hosh sisaktay jaain
1 | Tere Naal Mein |
2 | Kehnde Ne Naina |
3 | Chandni Raatein |
4 | Jigar Ki Aag Se |
5 | Khuda Kare ke Mohabbat |
6 | Sitaron Meri Raaton |
7 | Dukhaye Dil Jo Kisi Ka Woh |