Noor Jehan - Mainnay Har Kaanta текст песни

Все тексты песен Noor Jehan

Main nay her kanta teri rah ka palkoon say chuna
Log kehtay hain main dushman ho tera tu nay sunna

Janay keya soch kay her zulm rawa rakha hai
Keya main pather hon ju kadmoon main saja rakha hai
Main nay rakha hai faqat appni muhabat ka bharam
Warna herjai teray pyar main keya rakha hai

Bewafai ka gela lab pe nahi lawoon ga
Tu muqadar main nahi dil ko yeh samjhawoon ga

Hal-e-dil sunay ke shayad tujhay fursat na milay
Teri dunya say bohat door chala jawoon ga

Yeh muqadar ka lekha hai kohi takrar nahi
Meri kismat main kaheen saya-e-dewar nahi
Abh main tujh say bhi inayat ka talab gar nahi
Yeh gunha saab say bara hai kay gunha gaar nahi

Main nay her kanta teri rah ka palkoon say chuna
Log kehtay hain main dushman ho tera tu nay sunna

ДОБАВИТЬ ТЕКСТ В ЛИЧНЫЙ СПИСОК

Комментарии

Имя:
Сообщение: