Nusrat Fateh Ali Khan - Sheikh Jee Baith Kar Maekashon Mein текст песни

Все тексты песен Nusrat Fateh Ali Khan

Har kali mast-e-khwab ho jaati
Pati pati gulab ho jaati
Tu ne daali na mefishan nazren
Warna shabnam sharab ho jaati

Bhool ho jaati hai yun taish mein aya na karo
Faasle khatam karo baat barhaya na karo
Yeh adaaein yeh ishaare yeh nigahein tauba
in adaaon ko sar-e-aam lutaya na karo

Aap ke waastay gunah sahi
Hum piyen to sawaab banti hai
Sau ghamon ko nichornay ke baad
Ek katra sharaab banti hai

Dekh kar aap ki jawani ko aarzoo-e-sharab hoti hai
Roz tauba ko torta hun mein roz niyat kharaab hoti hai
Jo bhi karna hai aab-o-taab se kar
Mashwara mah-e-taab se kar
Inteha ki khabar nahin mualoom
Ibtida saghar-e-sharaab se kar

Saaqi sharab laa ke tabeeiyat udaas hai
Mujrib rubab utha ke tabeeiyat udaas hai
Tauba to kar chuka hoon magar phir bhi aye adam
thora sa zehr laa ke tabeeiyat udaas hai

Shaikh jee baith kar maikashon mein
Tark-e-mai ka irada na karna
Shaikh jee baith kar maikashon mein
Tark-e-mai ka irada na karna
Chorus

Shaikh jee baith kar maikashon mein
Tark-e-mai ka irada na karna
Kufr hai aisi naimat ko paa kar
Shukr ka aik sajda na karna
Chorus

Kaali kaali ghata cha gayi hai
Kaali kaali ghata cha gayi hai
Chal rahi hai hawa thandi thandi
Rut nasheeli hai do ghoont pee lo
Duniya walon ki parwa na karna

Rut nasheeli hai
zara do ghoont pee lo
Chorus

Zid na keejay janab pee leje
Fasl-e-gul hai sharab pee leje

Aagay chal kar hisaab hona hai
Iss liye be-hisaab pee leje

Aye zahid a tu sharab pee le
Na kar tu kuch ichtinab pee le
Mein teri maanoon namaz parh loon
Tu meri maan ab sharaab pee le
zara do ghoont pee lo
Rut nasheeli hai....

Iss rang badalti duniya mein
Halaat ki niyat theek nahin
Tauba ka iraada badla hai
barsaat ki niyat theek nahin
Zara do ghoont pee lo
Rut nasheeli hai...

(Raag)

Zahid mujhe jannat ka talabgar na kar
Jo bas mein tere nahin woh iqraar na kar
Woh rindi-o-masti nahin tera masliq
Saaqi ke tabarruk se to inkaar na kar
Zara do ghoont pee lo
Rut nasheeli hai...

Yeh cham cham kar ke sawan aya
Mei ke dar se bhaagi tauba ab tum bhi
zara do ghoont pee lo
Rut nasheeli hai..

Rut nasheeli hai do ghoont pee lo
Duniya walon ki parwa na karna
Chup ke saaqi ke daman mein chakh lo
Ho ga eimaan taza tumhara
Aaj fursat mili hai gunah ki
Paarsaai ka dawa na karna

Kiss tarhe ho gi bakhshish tumhari
Josh aye ga kaisay khuda ko
Uss ki rehmat pe kar kay bharosa
Kufr hai iss gunah ka na karna

Kya ghazab kar rahe ho khudara
Mai se labrez saghar na toro
Toot kar baddua jaam dein ge
noshi se tauba na karna

Keh rahe ho bura mai ko bismil
Kyon gunah mol lete ho sar par
Khud pilayen gi jannat mein hoorein
Mai ko duniya mein ruswa na karna

Shaikh jee baith kar maikashon mein
Tarke mai ka irada na karna...

ДОБАВИТЬ ТЕКСТ В ЛИЧНЫЙ СПИСОК

Комментарии

Имя:
Сообщение: