Rafaqat Ali Khan - Agar Hum Tumhare текст песни

Все тексты песен Rafaqat Ali Khan

Agar Hum tumhare deewane na hote
yey gora mukhra chand ka tukra na banta

agar hum nay chaha na hota tumhein yuun
haseeno mein tumko yey shuhrat na miltee
yey baatein na hoteen yey qissa na hota
yey gora mukhra chand ka tukra na banta

Agar aankh meyree mein utra na hota
teyraa roop saajan nikhra na hota
yey palken na hoteen yey kajal na hota

yey gora mukhra chand ka tukra na banta

Kahan baychta tuu apni adaayein
agar mein na sehta teyree jafayein
naza se nazar ka jo sauda na hota
yey gora mukhra chand ka tukra na banta

Ghani lambi palkein yey rangeen raatein
chanakti paazebein yey meethee see baatein
yey ankhein na hoteen yey chehra na hota
yey gora mukhra chand ka tukra na banta

ДОБАВИТЬ ТЕКСТ В ЛИЧНЫЙ СПИСОК

Комментарии

Имя:
Сообщение: