dono jahan teri mohabbat mein haar ke
wo jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
weeraan hai maykada, kham-o-saaghar udaas hain
tum kia gayay ke rooth gaye din bahar ke
dunya ne teri yaad se baygaana kar dia
tujh se bhi dil farayb hain ghum rozagaar ke
bhholay se muskara to diye the wo aaj faiz
mat pochh walwalay dil-e-nakardakaar ke
1 | Woh Ishq Jo Hum Se |
2 | Tere Pyar Main Ruswa |
3 | Woh Ishq Jo Humse |
4 | Mohabbat Karne Wale |