Junaid Jamshed - Mubarak Tujhay ho Arz-e-Madina текст песни

Все тексты песен Junaid Jamshed

mubarak tujhey ho aey arzey Madina
Nabi ka sher hai, ye sher-e-Madina

Teray paas jab syed-e-do jahaan hain
Na kyun raksh-e-aflaaq ho phir Madina

Teray sabz gumbad pe alam fida hai
Falak jaisey chumey zameen-e-Madina

Teray zara zara nishaan-e-Nabi hai

Fida tujh pe mekhaak sher-e-Madina

Uhad ke ye daman mein khoon-e-shaheedaan
Sabaq de raha hai wafa-e-Madina

Nishani hai Islam ki azmaton ki
Sahaba ke qadmon se khak-e-Madina

Wafadarion par sahaba ke akhtar
hai tareekh roshan ye sher-e- Madina

ДОБАВИТЬ ТЕКСТ В ЛИЧНЫЙ СПИСОК

Комментарии

Имя:
Сообщение: