din mein kab socha karte thay so'en gay hum raat kahan
ub aise aawara ghoomein apne wo halaat kahan
kab thay taiz-rawi per nadaan ub manzil per tanha hein
soch rahe hein in hathon se choota tha wo haath kahan
kia tum ne unko dekha hai kia unse baatein kii hein
tum ko kia samjha'en yaaro khayi hum ne maat kahan
barso baad mile hum unse dono thay sharminda se
dono ne chahaa bhi laikin phir aati wo baat kahan
din mein kab socha karte thay so'en gay hum raat kahan
ub aise aawara ghoomein apne wo halaat kahan
1 | Saja Hai Maikhana |
2 | Ye Jo Halka Halka |
3 | Akhian Noon Chain Na Awe |
4 | Ali Da Malang |
5 | Gurus of Peace |
6 | Talwar Hain Teri Ankhen |
7 | Hisaab Umar Ka |