Suno Na - Meri Amma Suno Mera Kehana текст песни

Все тексты песен Suno Na

meri amma suno mera kehana, lage abba bina sab suna
mujhe baaton se na behlaao, jaao aao abba kahin se laao
maan bhi jaao yeh jidd meri, aur karo na abb tum deri
tumase ruthunga main warana
are chhodo yeh jidd abb karana, na sataao mujhe tum itana
main manaau tujhe tu na maane, meri uljhan hai kya tu na jaane
kaise main pakadu haath kisi ka, tu hi bata de naam usika
maan lungi tera kehana

ammameri yeh kaho jara, kaisa lage tujhe deewaana jo hai sargam ka
gane lage woh jab bhi kabhi jhumane hum lage batao batao sach hai na
sach tumane kaha hai lekin, woh jo gaata rahega har din
ghar basana hai naamumkin
meri amma suno mera kehana, are chhodo yeh jidd abb karana


amma woh jo teri office mein hai
isi koshish me hai bane woh tumhaara hansafar
achchha nahi woh lage mujhe
main yeh chaahu ki woh dubaara kabhi na aaye idhar
jab saamane woh aata hai, mujhe dekhake darr jaata hai
kuchh bol nahi paata hai
meri amma suno mera kehana, are chhodo yeh jidd abb karana

amma meri hai tino me toh sabse achchha wahi bichara tumhara professor
sabse alag woh sabse juda, sidha saadha sa koyi bhi kahega ?? kar
kuchh bol na abb chup ho ja, huyi raat bahot abb so ja
sapano ke nagar mein kho ja la la la la hmm hmm hmm hmm hmm.......



Thanks to Razvan

ДОБАВИТЬ ТЕКСТ В ЛИЧНЫЙ СПИСОК

Комментарии

Имя:
Сообщение: