Вир и Зара - Jaanam dekh lo milt gayi текст песни

Все тексты песен Вир и Зара

janam dekhlo mit gayin dooriyan
main yahan hoon yahan hoon yahan hoon yahan
kaisi sarhadein kaisi majbooriyan
main yahan hoon yahan hoon yahan hoon yahan
tum chupa na sakogi main woh raaz hoon
tum bhula na sakogi woh andaaz hoon
goonjta hoon jo dil mein toh hairan ho kyun
main tumhare hi dil ki toh aawaaz hoon
sun sako toh suno dhadkanon ki zabaan
main yahan hoon yahan hoon yahan hoon yahan
kaisi sarhadein kaisi majbooriyan
main yahan hoon yahan hoon yahan hoon yahan
main hi main ab tumhare khayaalon mein hoon
main jawabon mein hoon mein sawaalon mein hoon
main tumhare har ek khwab mein hoon basaa
main tumhari nazar ke ujaalon mein hoon
dekhti ho mujhe dekhti ho jahan
main yahan hoon yahan hoon yahan hoon yahan
janam dekhlo mit gayin dooriyan
main yahan hoon yahan hoon yahan hoon yahan
kaisi sarhadein kaisi majbooriyan
main yahan hoon yahan hoon yahan hoon yahan
main yahan hoon yahan hoon yahan hoon yahan

ДОБАВИТЬ ТЕКСТ В ЛИЧНЫЙ СПИСОК

Комментарии

Имя:
Сообщение: