AAISE NA DEKHO MUJHE movie - Hamari Dhadkan Mein Uski Dhadkan текст песни

Все тексты песен AAISE NA DEKHO MUJHE movie

Song By KUMAR SANU
(hamari dhadkan mein uski dhadkan
woh dil mein dil banke dhal rahi hain) - 2
hawa ke jhonko ki tarah aakar
hamari duniya badal rahi hain
hamari dhadkan mein uski dhadkan
woh dil mein dil banke dhal rahi hain

mili thi kal jo woh ek ladki
tha roop uska toh chalka chalka
thi palkein uski jhuki jhuki si
jara sa aanchal tha dhalka dhalka
usi ke jadoo se aaj pal pal - 2
yeh saans har pal machal rahi hain
hamari dhadkan mein uski dhadkan

woh dil mein dil banke dhal rahi hain

jahaan bhi dekhu najar woh aaye
woh meri hain par nazar churaye
woh banke khushbu woh banke titli
hamare dil mein chali bhi aaye
usi ke aane se aaj har pal - 2
khushi labo par machal rahi hain
hamari dhadkan mein uski dhadkan
woh dil mein dil banke dhal rahi hain
hawa ke jhonko ki tarah aakar
hamari duniya badal rahi hain
hamari dhadkan mein uski dhadkan
woh dil mein dil banke dhal rahi hain

ДОБАВИТЬ ТЕКСТ В ЛИЧНЫЙ СПИСОК

Комментарии

Имя:
Сообщение: