Munni Begum - Mein Nazar Se Pee текст песни

Все тексты песен Munni Begum

Mein nazar se pee raha hoon ye samaan badal na jaaye
Na jhukaao tum nigaahain kahin raat dhal na jaaye

Abhi raat kuch hai baaqi na uthaa niqab saaqi
Tera rind girtay girtay kahin phir sanbhal na jaaye

mere ashk bhi iss mein ye sharab ubal na jaaye

mera jaam choonay waalay tera hath jal na jaaye

Meri zindagi ke maalik mere dil pe hath rakh de
Teray aanay ki khushi mein mera dum nikal na jaaye

Mujhay phoonknay se pehle mera dil nikal lena
Ye kisi ki hai amanat kahin sath jal na jaye

ДОБАВИТЬ ТЕКСТ В ЛИЧНЫЙ СПИСОК

Комментарии

Имя:
Сообщение: